Amna Yousaf's poetry and articles official
Wednesday, 7 August 2013
Tuesday, 6 August 2013
The Royal versus Customary baby by Amna Yousaf
“The Royal versus Customary baby” by Amna Yousaf
“This world is mortal and has to end, if not today then tomorrow,” this was a concept given by my mother to me when I was nearly 3 years old. Unfortunately, I was a bit too young to grasp this enormous conception and failed to understand the prominence. Later, the dirt from the mirror started to diffuse and I could see a clearer picture. How long this world would survive with such partiality? Some are born with a golden spoon and some are dying because of starvation.
Undoubtedly, this world needs reason for everything and in my opinion; I was pretty abominable at such things. My poor brain had to do certain mathematical calculations without algebra to understand, why the advent of royal baby is the most important news, a channel has to give. In contrast, The United State Census Bureau reported in 2010 that there are 361,481 babies born in the world every day. With that number, that means there are approximately 251 babies born throughout the world each minute. So, who is reporting for all of them? Are the reporters less in number or they are not as essential? Certainly, this makes me think, is this enough of a reason that a baby is fortunate enough to be a son of Prince William and Princess Kate?
My judgment says that a mother has to endure a lot and is the closest to the baby but this does not imply that only the royal mothers are reputable enough to be distinguished.
According to the March of Dimes, about 150,000 babies are born with birth defects each year in the United States save the other parts of the world. One must ask, is the birth of healthy royal baby of 3.798 kg more important to be celebrated?
King’s Troop Royal Horse Artillery and honorable Artillery Company both conceded out the ceremonial salutes in decency of the new addition to the Royal Family. In addition, 41 gun salutes at Green Park and 62 salutes at the Tower of London were carried simultaneously. This again indicates that the baby with presumably brighter future needs to be honored more than any other person who has given his or her life for humanity.
Furthermore, my point of view is not to discourage the celebrations because for the family it is a dissimilar occasion and needs to be celebrated but the intensity is positively my concern. One can give a large some in charity; this is also a possible way to celebrate. I agree they have to tell they are royal but with an opportunity there comes a responsibility. Are they only responsible for little William and all the other children with lethal diseases are of no importance only because they are not tied with blood with the great royal family?
In conclusion, my thoughts have their own individuality which I would not be sacrificing at any cost. For me every child is near to my heart. Well, I can easily give an example as near as an RBC to my capillary. Finally, if one has to live in this mortal world with satisfaction, he or she should have to celebrate the birth of royal and customary baby equally.
Tuesday, 11 June 2013
videos on youtube of Amna Yousaf
Mulki Salamatie by Amna Yousaf.
Na waday tairay by Amna Yousaf
Watan say dour by Amna Yousaf (for Imran Khan)
Na teer chaheyay by Amna Yousaf (for Imran Khan)
Bhikari by Amna Yousaf
Aj mai nay daikha hai by Amna Yousaf (for Imran Khan)
pyasay bachay
“Nangay or pyasay bachay bhook say bilaktay hain
Aik luqmay ke khatir, kaisay wou sisaktay hain
Baal un kay uljay hain or khushk chahray hain
Ansu un ke ankhoun say kis tarhan tapaktay hain
Mosamoun ke har sakhtie un pay youn guzarte hai
Bay-basie mai har lamha zindagi sisaktie hai
Zindagi ke mehroumi un kay naam ae hai
Bay-qasie ka har lamha, roh bhe sulagtie hai
Hum nay kab khushie koi un kay naam rakhe hai?
Zindagi adhourie hai sans bhe laraztie hai”
Amna Yousaf
Sunday, 9 June 2013
baitean rang hotie hain
Baitean rang hotie
hain by Amna Yousaf
Sunnay mai bara ajeeb lagta hou ga magar yea sach hay kay
larkean ahsas ke banie hotie hain. Yea wou chirya hai jo jahan shakh-e-gul
daikhte hai ek jhoula dal daite hai.
Larkean paida hotie hain tou Rehmat ghar mai aa jatie hai or
ALLAH TALA us insan kay leay aasaniyan paida kar daita hai jis kay ghar mai
baite ke wiladat hotie hai. Chotay chotay hath or shafaf chahray mai lagie chotie
chotie heeray jaise jugmug karte ankhain jo sab logoun ko tuk tuk daikhte hain or
lab manou koi pankhouri. Daikhtay he daikhtay wou maa baap ke ankhoun ka tara
ban jatie hai.
Thore barie hotie hain tou baitean apne batoun say sab ka dil
parcha layte hain. Kabhe apne totli batoun say tou kabhe masoom harkatoun say
sab ka dil moh layte hain. Jaisa kay mughy yaad parta hai, jab mughy pahli dfa
pta chalay kay mairay walid-e-mohtarram ke ammie un kay paida honay kay kuch
arsay baad he inteqal kar gye theen tou main nay apnay nanhay hatoun say apnay
abbu kay sar ko apne chote se goud mai rakhtay howay kaha, “mai ab say ap me
mama houn dady,” shid is par hassie atie hou par baitean tou kisi an-kahay dukh
ko bhe samjh layte hain. Maa kay baad shayad baitean he apnay walid ko us mamta
ka ahsas dilatie hain jis sy kae pidri zamnay pahlay he mehroum hou jatay hain.
Aisay mai agar mugh say koi pouch baithay tou mai kahoun,
“baithean rang hotie hain!” Baiteoun kay anay say ghar mai rang aa jata hain wou
roz jab kisi nayay rang kay joray mai balbos ghar mai phirte hain tou lagta hai
goya koi rang-birangi title baag ke sair ko nikli hou. Apnay daman mai sharam
lihaz kay sath wou kae rishtay bhe lay kar chalti hai.
Apnay baap kay leay wou ek zamanat hotie hain gar koi bhe
sath chour jayay tou ap mughy hamaysha apnay pass pain gy. “Abbu yea kaisay
kapray pehan leay dejay mai istari kar doun,” “is bar Eidi milay ke tou abbu
kay leay koi tohfa khareed lounge hamaysha tou mairay leay thaktay hain.”
Ammie kay leay wou aik sahayli hotie hai. Wou orat jo sarie
duniya say apnay dukh chupayay phirte hai bill-akhir apne baite kay agay
zindagi kay tamam dukhoun ka rona roo layte hai. Par maa say baite ka aisa
rishta hota hai kay kabhe bohat say kaam kar day or kabhe kahay ammie muh mai
niwala bhe ap he daal deejay.
Bhai behan kay sath apnay dukh sukh bannta hai tou kabhe
behan ko poura din aik nae bhabi ke dastan sunanay mai guzar jatie hai. Or
behan kay leay dosri behan aik ghanay pair ke chaoun, wohie Ghana pair jo khud
tou tapti dhoup ke garmi sah lay par kabhe apne chaoun mai baithay kisi insan
ko na sahnay day.
Aik umar tak aik ghar ko apna bana kar chalet hai or
phir achanak usay pta chalta hai kay ab bachgani harkatoun say kuch nhe hou ga,
ab dosray ghar jana he hou ga!
Aik taraf aik nayay khandan ka sath tou aik taraf
barsoun kay ghar say dour rahnay ka dukh. Shadi mai sara waqt muskuranay walie
dulhan ko lagta hai yea us ke zindagi ka sab say pyara din hai or wou duniya
mai sab say zrorie hai, par jab rukhsatie ka waqt qareeb ata hai tou larke ka
dil baithnay lagta hai or baite paraya dhan hai, yea baat sabit hou jatie hai.
Phir kabhe ankhain babul ko tou kabhe amma par parte hain or saray pyaray
lamhoun ke film ankhoun kay samnay chalnay lagte hai. Apne ankhoun mai ansuoun
ka sailab leay apna naya ghar basanay larke peaa kay dais sudhar jatie hai.
“Mai yahan kaisay rahounge? Mughy tou yea maloom bhe nhe kay
in sab ko kaise batain, kaisa khana kaisa rehan-sehan pasand hai.” Aisay mai
sasur mai baap, saas mai maa ko dhoundhnay lagte hai. Thoray he arsay mai wou
khandan is qadar apna bana layte hai kay ahsas he nhe honay daite kay kabhe yea
ghar is kay leay paraya bhe tha.
Apne zimaydarie ba-khoubi nibhatie hai, sukh ka raasta hou ya
dukh ka wou apnay sathi ko nhe chourtie.
Orat ka har roub apne jagha bay-had khoubsourat hai magar
maa, maa ke missal tou kaheen bhe nhe milte. Ab orat ke wohie pasand jis mai us
kay bachay khush rahain. Rotiyan char or khanay walay panch hou jain tou mai
aksar sochte houn,us waqt sirf aik maa ko he bhook kun nhe lagte? Aungli pakar
kay chanla seekhatie hai tou tab tak ungli nhe chourte jab tak sansoun ke dor
kat na jayay.
Yea orat kya hai? Kya amm hai ya khas? Shayad aam kay leay
amm or khas logoun kay leay bohat he khas. Apne zaat ko kaheen pechay chour
atie hai yea orat. Yea baat wou tou jantay hain jin ke zindagi mai in pyaray rishtoun
ke kamie hai. Kabhe kabhe tou lagta hai larkean bohat ameer hotie hain jo itnay
rishtay aik sath lay kar chaltie hain or kabhe larkean us goond ke manind lagte
hain jis ke wajah say bohat say ghar aik sath juray rahtay hain. Sach hai, Hawa
(A.S) ke baitean rang hotie hain.
Minjanib,
Amna Yousaf
{an article by Amna Yousaf}
Saturday, 8 June 2013
wou ja chukie hain
Maire ammiejaan kay
leay (ALLAH unhain Jannat-ul-Firdos mai jagha day Ameen:
"Wou jaa chukie hain or takseem maire zaat hai ab
Din tou roshan hai magar mairay leay raat hai ab
Maira kirdar tha ya kahkahounge ke gonj thee par
Tairay janay say kahan mugh mai bhe wou baat hai ab?
Maire nadaniyoun py hasna or hastay jana
Na taira sath hai na lamha wou hayat hai ab
Baywajah ankh say tapka tou nhe hai ansu
Tairay janay kay baad mosam-e-barsaat hai ab"
Friday, 7 June 2013
Baitay dhal hotay hain
Baitay dhal hotay
hain Amna Yousaf
Baitay maoun ke Duaoun ka samar hotay hain. ALLAH TALA ke
naimat hotay hain yea baitay. Darasal baitay souraj ke kiran hotay hain, jab
wou paida hotay hain tou maa baap un say dharoun ummeday laga laytay hain.
Jab bachpan mai baap ke filoun ko chairnay lagay tou baap
kahta hai maira businessman baita. Agar khilonay laytay waqt koi jahaz lay lay
tou maa kahte hai maira pilot baita. Gar chot lagnay pay pattie bandnay lagay
tou taya ka doctor baita or agar khilonoun ko khol kar theek karnay lagy tou
mamo ka engineer baita. Aisay mai koi pouch baitay, “baita ap kya banou gy?”
tou foran totla kar bolta hai “dhoula banou ga!”
Hamaray maashray mai larkeoun ko yea ijazat hai kay wou apnay
dukh zahir kar skte hain waheen larkay bachpan mai bhe chout khanay par yehe
suntay hain, “ chalo g! larkay rootay hain kya?” Phir wou yea baat
zehan-nasheen kar laytay hain, chahay andar aik tsunami thama hou par ankh say
aik ansu bhe nhe tapakta. Larkay folad jaisay hotay hain jin ka maqsad apnay
khandan ko har bouri nazar say dour rakhna hota hai.
Baitay apne maoun kay bohat qareeb hotay hain. Maoun kay leay
tou baitay dhal hotay hain. Hazrat Asiya (R.A) nay bhe jab Hazrat Mosa (A.S) ko
daikha tou un ko apne ankhoun ke thandak qarar dea. Baitay chahay jitney bhe
sakht jaan houn sirf maa kay ansu he un kay dil ke deevar ko geela kar sktay
hain. Pardais mai apne maa ke rotie ko yaad karnay walay baitay darasal zeest
ke jidojehad apne maa ko achay kapray dilanay kay leay he shuru kartay hain.
Apnay baap kay leay baitay dayan hath hotay hain. Jahan aik
umar tak sab zimaydarian baap akayla he lay kar chal raha hota hai, baitay kay
anay say yea yakeen hou jta hai kay ab zimaydarian but jain ge. Baap ke dant
say bhe kabhe narazi honay ka izhar nhe kartay.
Larka tou tabhe baap ban jatay hain jab ghar kay angan mai
behnain khailnay lagte hain. Behnoun kay sath hasnay khailnay wla yea bhai
bahar aik shaheen jaisa hota hai or is baat ka khas khayal rakhta hai kay koi
bhe us ke behnoun ka baal bhe banka na kar sakay. Bhaiyoun kay leay bhai dost
hotay hain. Jitna lartay hain pyar utna he barhta chala jata hai. Bachpan mai masti
khud kar kay ilzam bhai py dainay wala yea larka ab ilzam apnay sar laynay
lagta hai, chahay galti apne na bhe hou.
Phir larka aik bandhan mai bandh jata hai. Yea darasal aik
imtehan bhe hota hai larka jitna bhe Mazak karnay wala hou ab bohat durd-bar
hou jata hai. Apnay humsafar kay sath chalnay kay leay wou apnay ap ko behtar
bananay ke koshish karta hai. Us ke tamam tar kawishain hotie hain kay ghar mai
kabhe koi larae na hou. Is baat ka bharpour khayal rakhtay howay kay larke apna
basa basaya ghar sirf us kay sath kay leay chour kar aa gye hai wou apne ahlea ka
or bhe sath dainay lagta hai.
Jis larkay ke kabhe ankhain num nhe hoteen olad ka zahor
honay pay wou bhe apnay ahsas ko chupa nhe sakta. Phir tou zindagi mai aik
maqsad sa mil jata hai. Sakht tareen garmi hou ya hatoun ko barf kar dainay walie
thand baap kabhe nhe rukta. Baap bourha bhe hou jayay tou bourhay shajar ke
tarhan hamaysha apnay bachoun ko chaoun faraham karta hai.
Yea baitay ghar ke mazboutie hotay hain. Ma kay laal hotay
hain tou baap kay shahzaday hotay hain. Behnoun ka tahafuz tou baiteoun kay
dost. Yakeen maaneyay, baitay dhal hotay hain!
Min-janib,
Amna Yousaf.
{An article by Amna Yousaf}
Subscribe to:
Posts (Atom)