Friday, 7 June 2013

Baitay dhal hotay hain


Baitay dhal hotay hain Amna Yousaf
Baitay maoun ke Duaoun ka samar hotay hain. ALLAH TALA ke naimat hotay hain yea baitay. Darasal baitay souraj ke kiran hotay hain, jab wou paida hotay hain tou maa baap un say dharoun ummeday laga laytay hain.
Jab bachpan mai baap ke filoun ko chairnay lagay tou baap kahta hai maira businessman baita. Agar khilonay laytay waqt koi jahaz lay lay tou maa kahte hai maira pilot baita. Gar chot lagnay pay pattie bandnay lagay tou taya ka doctor baita or agar khilonoun ko khol kar theek karnay lagy tou mamo ka engineer baita. Aisay mai koi pouch baitay, “baita ap kya banou gy?” tou foran totla kar bolta hai “dhoula banou ga!”
Hamaray maashray mai larkeoun ko yea ijazat hai kay wou apnay dukh zahir kar skte hain waheen larkay bachpan mai bhe chout khanay par yehe suntay hain, “ chalo g! larkay rootay hain kya?” Phir wou yea baat zehan-nasheen kar laytay hain, chahay andar aik tsunami thama hou par ankh say aik ansu bhe nhe tapakta. Larkay folad jaisay hotay hain jin ka maqsad apnay khandan ko har bouri nazar say dour rakhna hota hai.
Baitay apne maoun kay bohat qareeb hotay hain. Maoun kay leay tou baitay dhal hotay hain. Hazrat Asiya (R.A) nay bhe jab Hazrat Mosa (A.S) ko daikha tou un ko apne ankhoun ke thandak qarar dea. Baitay chahay jitney bhe sakht jaan houn sirf maa kay ansu he un kay dil ke deevar ko geela kar sktay hain. Pardais mai apne maa ke rotie ko yaad karnay walay baitay darasal zeest ke jidojehad apne maa ko achay kapray dilanay kay leay he shuru kartay hain.
Apnay baap kay leay baitay dayan hath hotay hain. Jahan aik umar tak sab zimaydarian baap akayla he lay kar chal raha hota hai, baitay kay anay say yea yakeen hou jta hai kay ab zimaydarian but jain ge. Baap ke dant say bhe kabhe narazi honay ka izhar nhe kartay.
Larka tou tabhe baap ban jatay hain jab ghar kay angan mai behnain khailnay lagte hain. Behnoun kay sath hasnay khailnay wla yea bhai bahar aik shaheen jaisa hota hai or is baat ka khas khayal rakhta hai kay koi bhe us ke behnoun ka baal bhe banka na kar sakay. Bhaiyoun kay leay bhai dost hotay hain. Jitna lartay hain pyar utna he barhta chala jata hai. Bachpan mai masti khud kar kay ilzam bhai py dainay wala yea larka ab ilzam apnay sar laynay lagta hai, chahay galti apne na  bhe hou.
Phir larka aik bandhan mai bandh jata hai. Yea darasal aik imtehan bhe hota hai larka jitna bhe Mazak karnay wala hou ab bohat durd-bar hou jata hai. Apnay humsafar kay sath chalnay kay leay wou apnay ap ko behtar bananay ke koshish karta hai. Us ke tamam tar kawishain hotie hain kay ghar mai kabhe koi larae na hou. Is baat ka bharpour khayal rakhtay howay kay larke apna basa basaya ghar sirf us kay sath kay leay chour kar aa gye hai wou apne ahlea ka or bhe sath dainay lagta hai.
Jis larkay ke kabhe ankhain num nhe hoteen olad ka zahor honay pay wou bhe apnay ahsas ko chupa nhe sakta. Phir tou zindagi mai aik maqsad sa mil jata hai. Sakht tareen garmi hou ya hatoun ko barf kar dainay walie thand baap kabhe nhe rukta. Baap bourha bhe hou jayay tou bourhay shajar ke tarhan hamaysha apnay bachoun ko chaoun faraham karta hai.
Yea baitay ghar ke mazboutie hotay hain. Ma kay laal hotay hain tou baap kay shahzaday hotay hain. Behnoun ka tahafuz tou baiteoun kay dost. Yakeen maaneyay, baitay dhal hotay hain!
Min-janib,
Amna Yousaf.
{An article by Amna Yousaf}


No comments:

Post a Comment