Tuesday, 4 June 2013

Bhai mat kaha karou!!! by Amna Yousaf


                                                      Bhai mat kaha karou!!!
Jab kabhe mai logoun ke soch ko tatoltie houn tou kuch ilzam baramad hotay hain. Darhaqeqat wou ilzam kaheen na kaheen har larke ko sochnay par majbour kar daitay hain kay, kya ab koi pak-daman khatoun is duniya main sans nhe lay raheen?
Tanqeed hamaray ma-ashray mai kuch zrorie se hou gye hai. Larkeoun or ortoun kay kaproun say lay kar mizaj tak ke tahqeeq darasal tanqeed he hotie hai. Yea duniya aj bhe mard hazraat ke khamie btanay mai kuch pashaymaan se lagte hai. Is sawal ka jawab tou mairay pass nhe par maira demag is baat ko quboul nhe karta.
Facebook par aksar posts khawateen kay leay aik sawalea nishan hotie hain kun k mard hazrat aksar yehe baat karna chahtay hain kay ab ke orat izat-dar nhe ya shid utni izat-dar nhe jitney pahlay howa karte thee.
Agar koi larke kisi larkay ko bhai kah day tou achanak qayamat barpa honay lagtie hai. Youn lagta hai us shaks nay zameen phatie pae or us mai dhansnay laga goya koi bay-yaar-o-madadgar insan chila kar madad mang kar kah rha hou “bhai mat kaha karou!”
Jab yea baat larke kay kanoun tak pohanchtie hai tou usay yea ahsas hota hay jaisay us shaks ka pao taway par rkha howa tha or wou jalan kay maray karrah raha tha. Majbouran wou na-dan pouch baithtie hai “bhai kun na kahoun?” or larka jhat say kahnay lagta hai “hum dost bhe tou hou saktay hain na.”
Ab mai sirf larkeoun ke himayat kartay howay zayda ache nhe lagti, is leay maannay ko tayar houn kay 80% larkean us formulay par amal kartay howay “bhai” lafz ko koura kirkat smjh kar kisi gehre khae say nechay phaink daite hain.
Par kuch apne tahzeeb ka taranga garnay kay leay saf saf, bagair kisi dikat kay kah daite hain, “baat karne hai tou bhai kahounge warna baat nhe karne mughy!” yea jaantay he larkay kay bayain bazou mai dard uthnay lagta hai jis ke lahrain dil tak pohanchtie hain, youn lagta hai jaisay dil ka aisa dora para hai kay bachna mushkil! Barie mushkil say larka apnay bayjaan dil ko sambhalta hai par anna totnay par nihayat soogwar hota hai. Ab dou he rastay hotay hain, ya tou bhai kahalwanay par amada hou jayay ya phir batmeze kar kay us larke say jaan chura lay. Ab mai larkoun ke bhe zda himayat nhe karte. is leay 80% larkay jhat say kuch nazayba ilfaz istemal kar kay apne jaan chura laytay hain.
Isi kashmakash mai hum yea baat bhoul jatay hain kay “bhai” ya “behan” kahnay say izat ghattie nhe balkay or bhe barh jatie hai. Or maira tajurba kahta hai, agar koi izat day rha hou (wou bhe muft mai) tou lay layne chyay. Izat or tahzeem koi murda lash tou nhe, kay mattie parhnay par dafan honay lagay. Hum aj tahzeeb khatam honay ka rona kun rotay hain, jab hum he is kay qatil hain?
Mai nay ap ko is article kay zaryay aik barie zrorie baat say aagha karnay ke koshish ke hai kun kay aj kal kay nojawan kahen na kaheen us masoumeat ko khatam kar rhy hain jis say hamarie tahzeeb numayaan hotie hai.
Min-janib,
Amna Yousaf.
{An article by Amna Yousaf}
https://www.facebook.com/amnayousafpoetryofficial?ref=hl


No comments:

Post a Comment