Kabhe tou sochou by
Amna Yousaf
Hum apnay
iphones or laptops ko panay kay leay is qadar koshaan rahtay hain kay rastay
mai chaltay baybus log bhe hamain dekhae nhe daitay. Kae log apne gareebi mang
kar dour karnay par majbour, tou kae safaid-posh log laboun ko seetay howay
apnay dukhoun ko dil mai samait laytay hain.
Humain
jhirak kar yea kahna tou ata hai, “kya kar rhy hou yea mangnay ke nhe school
janay ke umar hai!” magar inhain school bhayjay kon? Kabhe tou sochou!
In masoumoun
ke kya galti jinhoun nay ankh kholi tou gurbat or aflas mai. Jin kay pass
khanay ko kuch nhe tou logoun kay phainkay howay ko kouray say chuntay howay
apna pait bharnay lagtay hain. Kya yea manazir sabhe nay nhe daikhay? Zamana is
qadar sang-dil kun hai kay apnay bachoun kay leay tou tarhan tarhan kay khanay
bnayay jatay hain, kay kaheen bachay khana psnd na honay ke wajah say bhoukay
na soo jain. Khowahisaat kya sirf ap kay bachoun ke hain? Wou ap ka khoun nhe
tou kya ap un kay leay kuch nhe kar saktay? Kabhe tou sochou!
Jaisay
hamaray leay pariyoun ka dais, waisay he un kay leay taleeme-idaray. Jab kouray
mai kaheen kagaz milta hou ga tou phout phout kar rotay houn gy or sochtay houn
gy, “hayay hamare qismat! hamaray leay tou sab daikhnay walay andhay or sunnay
walay behray hain.” Kabhe tou socho!
Hum apnay
school, college or university ke canteen mai tou hazzaroun kharch kar laytay
hain par yea kun nhe sochtay agar us mai say kuch paisay hum in bachoun ke
taleem kay leay day dain tou hamra dil mutmain honay lagay. Khuda janay hum
baylos hona kab seekhain gy? Har cheez say raqam mai izafa hou aisa zrorie tou
nhe, sakoun ke dolat kay bagair tamam heeray jawahrat raq ke manind hotay hain.
Kabhe tou socho!
Hamari tou
aise adat hai gar abbu ya ammie say dant parh jayay tou aisay humak kar ronay
lagtay hain jaisay hum say zda bechara is duniya mai na paida howa na hou ga.
Kisi cheez ke khowahish karain or wou na milay tou pagal-pan kay aisay doray
parnay lagtay hain kay sambhalay na sambhalain. Hamari zroratoun ka khyal tou
hamain hai par or kisi ke zrorat ka kabhe tou socho!
Humain youn
tou tijarat ka bohat shoq hai phir ALLAH SUBHANWATA’ALA say kun nhe kar laitay.
Us kay bandoun ke madad kar kay Us zaat ko yea ahsas kun nhe dilatay kay hum
waqae he apnay bhaiyoun behnoun kay leay wohie kuch pasand kartay hain jo kay
apnay leay.
Waqt ka kya
hai yea tou kisi tarhan guzar he jayay ga. Ameere hou ya gareebe zeest tou guzar
he jatie hai par kisi girtay ko tham laynay say faida us girtay admi say zda
hamra hai, kun kay hum nay tou kuch dunive cheezan us insan ko deen par us kay
badlay, ALLAH TALA hamain kae gunah nawazta hai. Ikhtetam mai apne nazam kay
qatay say karna chahte houn:
“kabhe tou sochou, kya
hou ga un ka
Har gaam pay jo mizah
hain bantaay
Sab apne duniya, hata
kay thoora
Unhain bhe apna samjh
kay daikhou”
Minjanib,
Amna Yousaf
No comments:
Post a Comment